Friday, June 3, 2011

Intezaar...

Lovely lines .. for keepsake :) This one is not an original..


Rukhsat hua to aankh milaa kar nahin gayaa
Woh kyun gayaa hai ye bhii bataa kar nahin gayaa
Woh yun gayaa ke baad-e-sabaa yaad aa gayii
Ehsaas tak bhii hamko dilaa kar nahin gayaa
Yun lag rahaa hai jaise abhi laut aayegaa
Jaate huye chiraag bujhaa kar nahin gayaa
Shaayad vo mil hii jaaye magar justujuu hai shart
Woh apne naqsh-e-paa mitaa kar nahin gayaa
Ghar mein hai aaj tak vohii khushbuu basii huyi
Lagtaa hai yun ke jaise vo aa kar nahin gayaa
Tab tak to phuul jaisii hii taazaa thii uskii yaad
Jab tak vo pattiiyon ko judaa kar nahiin gayaa
Rehne diyaa na usnay kisi kaam kaa mujhe..
Aur khaak main bhi mujhko milaa kar nahi gayaa..
Waisy hii betalab hai abhii merii zindagii..
Wo Khaar-o-Khas main aag lagaa kar nahi gayaa..
Shehzad” ye gilaa hii rahaa uskii yaad se..
Jaatay hue wo koii gilaa kar nahi gayaa...

No comments: